ek ahd ki surat hai ki paiman ki surat
ik ahd kī sūrat hai ki paimān kī sūrat
tū dil meñ basā rahtā hai īmān kī sūrat
likhtī huuñ har ik baat guzartī hai jo dil pe
ban jā.egī ik roz ye dīvān kī sūrat
TuuTā hai abhī tak na hī TūTegā kabhī bhī
rakhtī huuñ tujhe saath maiñ ik maan kī sūrat
ab ban ke yaqīñ dil meñ simaT aayā hai mere
āġhāz meñ lagtā thā jo imkān kī sūrat
aao to zarā baaġh meñ mil kar unheñ dekheñ
aa.e haiñ parinde yahāñ mehmān kī sūrat
ai chāragaro aao mere sāmne aao
dekho to zarā be-sar-o-sāmān kī sūrat
ek ahd ki surat hai ki paiman ki surat
tu dil mein basa rahta hai iman ki surat
likhti hun har ek baat guzarti hai jo dil pe
ban jaegi ek roz ye diwan ki surat
TuTa hai abhi tak na hi TuTega kabhi bhi
rakhti hun tujhe sath main ek man ki surat
ab ban ke yaqin dil mein simaT aaya hai mere
aaghaz mein lagta tha jo imkan ki surat
aao to zara bagh mein mil kar unhen dekhen
aae hain parinde yahan mehman ki surat
ai chaaragaro aao mere samne aao
dekho to zara be-sar-o-saman ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.