ek aisa naqsh hun KHud apne dhyan mein bhi nahin
ik aisā naqsh huuñ ḳhud apne dhyān meñ bhī nahīñ
ki merā zikr mirī dāstān meñ bhī nahīñ
likhā huā hai ki merī talāsh-e-lā-hāsil
chhupā huā maiñ badan kī chaTān meñ bhī nahīñ
bañdhā huā huuñ usī se maiñ ḳhaak hone tak
vo ek lafz jo vahm-o-gumān meñ bhī nahīñ
paroñ ko jhaaḌ ke baiThā huuñ chhup ke pattoñ meñ
maiñ vo parind jo pahlī uḌaan meñ bhī nahīñ
barahna-go huuñ ġhalat-go nahīñ huuñ maiñ 'pashī'
adiib mujh sā to ahl-e-zabān meñ bhī nahīñ
ek aisa naqsh hun KHud apne dhyan mein bhi nahin
ki mera zikr meri dastan mein bhi nahin
likha hua hai ki meri talash-e-la-hasil
chhupa hua main badan ki chaTan mein bhi nahin
bandha hua hun usi se main KHak hone tak
wo ek lafz jo wahm-o-guman mein bhi nahin
paron ko jhaD ke baiTha hun chhup ke patton mein
main wo parind jo pahli uDan mein bhi nahin
barahna-go hun ghalat-go nahin hun main 'pashi'
adib mujh sa to ahl-e-zaban mein bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.