ek ajab rog mere ji ko laga barson se
ik ajab rog mire jī ko lagā barsoñ se
raas aa.ī bhī nahīñ koī davā barsoñ se
yuuñ to aane ko bahār aa.ī ḳhizāñ bhī aa.ī
dil ke māhaul kī badlī na fazā barsoñ se
mere hī dil kī ye ḳhūbī hai ki is meñ yaaro
rāt-din hotā hai hangāma bapā barsoñ se
minnateñ māñgīñ davā aur duā bhī kar lī
ġhuncha-e-dil kisī sūrat na khilā barsoñ se
kisī nādār kī turbat kā hai tanhā zāmin
ek TuuTā huā ḳhāmosh diyā barsoñ se
kaun hai mere sivā mahram-e-asrār-e-vafā
dil mirā soz-e-mohabbat meñ jalā barsoñ se
merā andāz-e-parastish hai zamāne se judā
maiñ samajhtā huuñ sanam hī ko ḳhudā barsoñ se
ḳhvāb sā ho ke rahā sheva-e-ādāb-o-salām
ab to aatī hī nahīñ lab pe duā barsoñ se
apnī tasvīr ko dekhā to ye mahsūs huā
aisā ik shaḳhs mire saath rahā barsoñ se
fard-e-isyāñ pe mirī dāvar-e-mahshar ne likhā
is se sarzad na huī koī ḳhatā barsoñ se
mauj-e-dariyā kā tarannum kabhī dilkash rim-jhim
kaun hai in meñ sadā naġhma-sarā barsoñ se
kuchh na kuchh is kā bhī mafhūm to hogā 'gauhar'
ġhaib se aatī hai kānoñ meñ sadā barsoñ se
ek ajab rog mere ji ko laga barson se
ras aai bhi nahin koi dawa barson se
yun to aane ko bahaar aai KHizan bhi aai
dil ke mahaul ki badli na faza barson se
mere hi dil ki ye KHubi hai ki is mein yaro
raat-din hota hai hangama bapa barson se
minnaten mangin dawa aur dua bhi kar li
ghuncha-e-dil kisi surat na khila barson se
kisi nadar ki turbat ka hai tanha zamin
ek TuTa hua KHamosh diya barson se
kaun hai mere siwa mahram-e-asrar-e-wafa
dil mera soz-e-mohabbat mein jala barson se
mera andaz-e-parastish hai zamane se juda
main samajhta hun sanam hi ko KHuda barson se
KHwab sa ho ke raha shewa-e-adab-o-salam
ab to aati hi nahin lab pe dua barson se
apni taswir ko dekha to ye mahsus hua
aisa ek shaKHs mere sath raha barson se
fard-e-isyan pe meri dawar-e-mahshar ne likha
is se sarzad na hui koi KHata barson se
mauj-e-dariya ka tarannum kabhi dilkash rim-jhim
kaun hai in mein sada naghma-sara barson se
kuchh na kuchh is ka bhi mafhum to hoga 'gauhar'
ghaib se aati hai kanon mein sada barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.