ek ajab si dhundh mein ab sar basar lipTa hun main
ik 'ajab sī dhuñdh meñ ab sar basar lipTā huuñ maiñ
kho gayā huuñ yuuñ ki ḳhud ko bhī kahāñ dikhtā huuñ maiñ
DhūñDhtā huuñ ik shanāsā majma-e-aġhyār meñ
ajnabī chehre bhī pahroñ dekhtā rahtā huuñ maiñ
shahr kī shab par bapā haiñ jagmagātī lighteñ
haa.e rātoñ ko añdherā DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ye mirā kār-e-junūñ hai yā majāz-e-justujū
raat bhar saḌkoñ pe yuuñ hī ghūmtā phirtā huuñ maiñ
chashm-e-zāhir kā mujhe pahchānñā mumkin kahāñ
dil kī āñkhoñ se mujhe dekho to jaano kyā huuñ maiñ
raushnī chāroñ taraf hai aur maiñ saaya raqs-kun
ghaT gayā jo is taraf to us taraf baḌhtā huuñ maiñ
fāsla kuchh baḌh gayā merā mirī parchhā.ī se
ye jo terī raushnī se duur sā rahtā huuñ maiñ
sab raqam hī kar diyā to dil meñ baaqī kyā rahe
kuchh ḳhayāl apne hī andar bāñdh kar rakhtā huuñ maiñ
ek 'ajab si dhundh mein ab sar basar lipTa hun main
kho gaya hun yun ki KHud ko bhi kahan dikhta hun main
DhunDhta hun ek shanasa majma-e-aghyar mein
ajnabi chehre bhi pahron dekhta rahta hun main
shahr ki shab par bapa hain jagmagati lighten
hae raaton ko andhera DhunDhta phirta hun main
ye mera kar-e-junun hai ya majaz-e-justuju
raat bhar saDkon pe yun hi ghumta phirta hun main
chashm-e-zahir ka mujhe pahchanna mumkin kahan
dil ki aankhon se mujhe dekho to jaano kya hun main
raushni chaaron taraf hai aur main saya raqs-kun
ghaT gaya jo is taraf to us taraf baDhta hun main
fasla kuchh baDh gaya mera meri parchhai se
ye jo teri raushni se dur sa rahta hun main
sab raqam hi kar diya to dil mein baqi kya rahe
kuchh KHayal apne hi andar bandh kar rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.