ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae
ik ajab vahshat se dil sīnoñ meñ be-kal ho ga.e
chāñd kyā niklā ḳhushī se log pāgal ho ga.e
dhuup se sahme parindoñ ko amaañ miltī nahīñ
saḳhti-e-mahr-e-ḳhizāñ se ḳhushk jañgal ho ga.e
raah meñ chhāñv zarā sī kar ga.ī mujh ko ḳharāb
do ghaḌī rukne se mere paañv bojhal ho ga.e
ab to bhartā hī nahīñ be-āb ā.īnoñ meñ rañg
kaun se manzar mirī āñkhoñ se ojhal ho ga.e
be-hisī āḳhir nikal aa.ī mire ġham kā ilaaj
barf rakhne se mire ghaav sabhī shal ho ga.e
kyā batā.ūñ bad-gumāñ dil meñ tamannāoñ kā haal
is zamīn-e-shor meñ sab peḌ be-phal ho ga.e
ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae
chand kya nikla KHushi se log pagal ho gae
dhup se sahme parindon ko aman milti nahin
saKHti-e-mahr-e-KHizan se KHushk jangal ho gae
rah mein chhanw zara si kar gai mujh ko KHarab
do ghaDi rukne se mere panw bojhal ho gae
ab to bharta hi nahin be-ab aainon mein rang
kaun se manzar meri aankhon se ojhal ho gae
be-hisi aaKHir nikal aai mere gham ka ilaj
barf rakhne se mere ghaw sabhi shal ho gae
kya bataun bad-guman dil mein tamannaon ka haal
is zamin-e-shor mein sab peD be-phal ho gae
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.