ek ajnabi hai mera us se wasta bhi nahin
ik ajnabī hai mirā us se vāsta bhī nahīñ
magar ye kyā ki kisī lamhe bhūltā bhī nahīñ
firāq-e-yār kā ehsās Das rahā hai mujhe
maiñ so bhī saktā nahīñ aur jāgtā bhī nahīñ
tumhārī pyaas bujhāne ko ḳhār-zār-e-junūñ
hamāre paañv ke talvoñ meñ aabla bhī nahīñ
bajā ki aap ke shāyāñ nahīñ hai zaat mirī
ba-sad-ḳhulūs jo dekho to phir burā bhī nahīñ
kahīñ pe raat bhī raushan huī hai din kī tarah
kahīñ pe din hai magar un kī raat sā bhī nahīñ
bhalā huā ki sar-e-bazm mulāqāt na huī
unheñ maiñ dekh sakūñ itnā hausla bhī nahīñ
ek ajnabi hai mera us se wasta bhi nahin
magar ye kya ki kisi lamhe bhulta bhi nahin
firaq-e-yar ka ehsas Das raha hai mujhe
main so bhi sakta nahin aur jagta bhi nahin
tumhaari pyas bujhane ko KHar-zar-e-junun
hamare panw ke talwon mein aabla bhi nahin
baja ki aap ke shayan nahin hai zat meri
ba-sad-KHulus jo dekho to phir bura bhi nahin
kahin pe raat bhi raushan hui hai din ki tarah
kahin pe din hai magar un ki raat sa bhi nahin
bhala hua ki sar-e-bazm mulaqat na hui
unhen main dekh sakun itna hausla bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.