ek aks dil ke taT se be-iKHtiyar phuTe
ik aks dil ke taT se be-iḳhtiyār phūTe
jab chāñd us nagar kī jhīloñ ke paar phūTe
sadqa utārne ko tere madhur nayan kā
ubhre ka.ī sitāre ġhunche hazār phūTe
vo aur maiñ nadī ke naġhmoñ pe bahtī naav
naav meñ us ke mukh se ujlā nikhār phūTe
kānoñ meñ ab bhī khankeñ gajre tire gajar-dam
is ghar se jab dhueñ kā niilā ġhubār phūTe
mujh ko jhulā rahe haiñ gītoñ ke jhūlne meñ
naġhme jo pāyaloñ ke sapnoñ ke dvaar phūTe
us sāñvle badan par mahkeñ ḳhunuk savere
un mast añkhḌiyoñ se rañgoñ kī phuvār phūTe
mat ro phir ā.ūñgā maiñ parbat pe tujh se milne
jab barf-zār pighle jab ābshār phūTe
ek aks dil ke taT se be-iKHtiyar phuTe
jab chand us nagar ki jhilon ke par phuTe
sadqa utarne ko tere madhur nayan ka
ubhre kai sitare ghunche hazar phuTe
wo aur main nadi ke naghmon pe bahti naw
naw mein us ke mukh se ujla nikhaar phuTe
kanon mein ab bhi khanken gajre tere gajar-dam
is ghar se jab dhuen ka nila ghubar phuTe
mujh ko jhula rahe hain giton ke jhulne mein
naghme jo payalon ke sapnon ke dwar phuTe
us sanwle badan par mahken KHunuk sawere
un mast ankhDiyon se rangon ki phuwar phuTe
mat ro phir aaunga main parbat pe tujh se milne
jab barf-zar pighle jab aabshaar phuTe
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 513)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.