ek alaw jalta tha
ik alaav jaltā thā
qissa āñkheñ maltā thā
ik aaseb sā thā koī
jis kā sikka chaltā thā
us ke raushan chehre se
kaalā jaadū Taltā thā
dil kī kunj kahānī meñ
saañp sunahrī paltā thā
chhalnī the sab mashkīze
ḳhema ḳhema jaltā thā
guuñj kahīñ rotī thī aur
raat kā Derā Dhaltā thā
nīñdoñ kī Dhalvānoñ se
ek hī ḳhvāb phisaltā thā
surḳh sikuḌte hoñToñ par
koī harf pighaltā thā
saare shahr meñ Dar 'tanvīr'
paañv paañv chaltā thā
ek alaw jalta tha
qissa aankhen malta tha
ek aaseb sa tha koi
jis ka sikka chalta tha
us ke raushan chehre se
kala jadu Talta tha
dil ki kunj kahani mein
sanp sunahri palta tha
chhalni the sab mashkize
KHema KHema jalta tha
gunj kahin roti thi aur
raat ka Dera Dhalta tha
nindon ki Dhalwanon se
ek hi KHwab phisalta tha
surKH sikuDte honTon par
koi harf pighalta tha
sare shahr mein Dar 'tanwir'
panw panw chalta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.