ek ariza hai dil-e-mushtaq mein rakkha hua
ik arīza hai dil-e-mushtāq meñ rakkhā huā
āftāb-e-ishq hai āfāq meñ rakkhā huā
zindagī kā zā.iqa mujh ko tavātur se milā
zahr meñ rakhā huā tiryāq meñ rakkhā huā
nafratoñ ke sab navishte us ne azbar kar liye
hai mohabbat kā sahīfa taaq meñ rakhā huā
balva-e-bātil meñ haq kī ḳhāmushī kā saath do
ye bhī nukta hai mire mīsāq meñ rakkhā huā
raakh uḌtī dekh kar mujh se gurezāñ kyoñ hue
ek sho.ala hai abhī chaqmāq meñ rakkhā huā
maiñ ne dekhā merā qātil mubtalā-e-ḳhauf hai
sar mirā thā jis ghaḌī itbāq meñ rakkhā huā
lau na maddham hogī 'manzar' bujh na pā.egā kabhī
ye diyā hai sīna-e-ushshāq meñ rakkhā huā
ek ariza hai dil-e-mushtaq mein rakkha hua
aaftab-e-ishq hai aafaq mein rakkha hua
zindagi ka zaiqa mujh ko tawatur se mila
zahr mein rakha hua tiryaq mein rakkha hua
nafraton ke sab nawishte us ne azbar kar liye
hai mohabbat ka sahifa taq mein rakha hua
balwa-e-baatil mein haq ki KHamushi ka sath do
ye bhi nukta hai mere misaq mein rakkha hua
rakh uDti dekh kar mujh se gurezan kyon hue
ek shoala hai abhi chaqmaq mein rakkha hua
main ne dekha mera qatil mubtala-e-KHauf hai
sar mera tha jis ghaDi itbaq mein rakkha hua
lau na maddham hogi 'manzar' bujh na paega kabhi
ye diya hai sina-e-ushshaq mein rakkha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.