ek ashk sar-e-shoKHi-e-ruKHsar mein gum hai
ik ashk sar-e-shoḳhī-e-ruḳhsār meñ gum hai
ā.īna bhī us husn ke asrār meñ gum hai
koī to zamīñ zar kā pujārī hai mire dost
aur koī yahāñ apne hī ghar-bār meñ gum hai
apnoñ ke ravayyoñ ne jise toḌ diyā thā
vo shaḳhs kisī mahfil-e-aġhyār meñ gum hai
paayā to sikhā degā mujhe sho.ala-bayānī
vo harf jo us sīna-e-kohsār meñ ġham hai
kahtā hai tire sar kī safedī meñ chhupā dukh
ik shahr-e-butāñ vaqt kī dīvār meñ gum hai
kuchh dard numāyāñ hai kahānī meñ 'amīn' aur
kuchh dard abhī dast-e-qalam-kār meñ gum hai
ek ashk sar-e-shoKHi-e-ruKHsar mein gum hai
aaina bhi us husn ke asrar mein gum hai
koi to zamin zar ka pujari hai mere dost
aur koi yahan apne hi ghar-bar mein gum hai
apnon ke rawayyon ne jise toD diya tha
wo shaKHs kisi mahfil-e-aghyar mein gum hai
paya to sikha dega mujhe shoala-bayani
wo harf jo us sina-e-kohsar mein gham hai
kahta hai tere sar ki safedi mein chhupa dukh
ek shahr-e-butan waqt ki diwar mein gum hai
kuchh dard numayan hai kahani mein 'amin' aur
kuchh dard abhi dast-e-qalam-kar mein gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.