ek bagh to lagao zara shahr-e-zehn mein
ik baaġh to lagāo zarā shahr-e-zehn meñ
kuchh phuul phal ugaao zarā shahr-e-zehn meñ
afkār phir ġhurūb hue samt-e-jahl meñ
raushan karo alaav zarā shahr-e-zehn meñ
bhaTkoge kab talak bhalā sahrā-e-najd meñ
ik roz idhar to aao zarā shahr-e-zehn meñ
ham bhī umīd-vār haiñ ai shahryār-e-dil
ham ko bhī to bulāo zarā shahr-e-zehn meñ
lagtā hai jaise bāb-e-karāmat hī band hai
phir chashm-e-nāz uThāo zarā shahr-e-zehn meñ
ai ahl-e-ḳhānqāh jagāo dimāġh ko
saut-e-azāñ uThāo zarā shahr-e-zehn meñ
aao tumheñ tamāshā dikhā.eñ shu.ūr kā
aa jaao rahnumāo zarā shahr-e-zehn meñ
kab tak butoñ ke pairoñ meñ ḳhud ko girāoge
ab to unheñ girāo zarā shahr-e-zehn meñ
zunnār-band dair-nashīñ sajda-rez huuñ
yuuñ apnī chhab dikhāo zarā shahr-e-zehn meñ
ek bagh to lagao zara shahr-e-zehn mein
kuchh phul phal ugao zara shahr-e-zehn mein
afkar phir ghurub hue samt-e-jahl mein
raushan karo alaw zara shahr-e-zehn mein
bhaTkoge kab talak bhala sahra-e-najd mein
ek roz idhar to aao zara shahr-e-zehn mein
hum bhi umid-war hain ai shahryar-e-dil
hum ko bhi to bulao zara shahr-e-zehn mein
lagta hai jaise bab-e-karamat hi band hai
phir chashm-e-naz uThao zara shahr-e-zehn mein
ai ahl-e-KHanqah jagao dimagh ko
saut-e-azan uThao zara shahr-e-zehn mein
aao tumhein tamasha dikhaen shuur ka
aa jao rahnumao zara shahr-e-zehn mein
kab tak buton ke pairon mein KHud ko giraoge
ab to unhen girao zara shahr-e-zehn mein
zunnar-band dair-nashin sajda-rez hun
yun apni chhab dikhao zara shahr-e-zehn mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.