ek baghban bulbul-e-gulzar bech kar
ik bāġhbān bulbul-e-gulzār bech kar
ḳhatre meñ paḌ gayā hai taraf-dār bech kar
mumkin hai kuchh bhī dostoñ bāzār-e-'ishq meñ
dekheñge ḳhud ko ham yahāñ ik baar bech kar
bātoñ meñ us kī phir koī tāsīr kaise ho
jo de rahā hai mashvara kirdār bech kar
haarā nahīñ vo shaḳhs mohabbat kī jang meñ
jis ne laḌī hai jang ye talvār bech kar
kaise sukūñ mile na hameñ bazm-e-ġhair meñ
baiThe haiñ ham yahāñ dil-e-afgār bech kar
auqāt us kī kuchh nahīñ merī nigāh meñ
baiThā hai jo 'urūj pe me'yār bech kar
ek baghban bulbul-e-gulzar bech kar
KHatre mein paD gaya hai taraf-dar bech kar
mumkin hai kuchh bhi doston bazar-e-'ishq mein
dekhenge KHud ko hum yahan ek bar bech kar
baaton mein us ki phir koi tasir kaise ho
jo de raha hai mashwara kirdar bech kar
haara nahin wo shaKHs mohabbat ki jang mein
jis ne laDi hai jang ye talwar bech kar
kaise sukun mile na hamein bazm-e-ghair mein
baiThe hain hum yahan dil-e-afgar bech kar
auqat us ki kuchh nahin meri nigah mein
baiTha hai jo 'uruj pe me'yar bech kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.