ek bar dekh lun to satata hai aaina
ik baar dekh luuñ to satātā hai aa.ina
biite dinoñ kī yaad dilātā hai aa.ina
bad-sūratī pe apnī taras kyoñ na aa.egā
jab baar baar koī dikhātā hai aa.ina
har koī is hunar se to vāqif nahīñ magar
bad-sūratoñ kā bojh uThātā hai aa.ina
insāñ kī sohbatoñ ne ise bhī sikhā diyā
chehroñ pe ḳhuub chehre chaḌhātā hai aa.ina
jo daaġh mere chehre pe the hī nahīñ kabhī
aksar vo daaġh mujh ko dikhātā hai aa.ina
sach pūchhiye to chehroñ pe likkhā nahīñ hai kuchh
apne hī dil kī baat batātā hai aa.ina
us vaqt kā.enāt kā aalam na pūchhiye
jab pattharoñ se aañkh milātā hai aa.ina
bātin kī kuchh ḳhabar hai na zāhir pe kuchh ayaañ
kuchh raaz is tarah bhī chhupātā hai aa.ina
mahfil meñ sab se āñkheñ churātā hai go 'ziyā'
tanhā.iyoñ meñ saath nibhātā hai aa.ina
ek bar dekh lun to satata hai aaina
bite dinon ki yaad dilata hai aaina
bad-surati pe apni taras kyon na aaega
jab bar bar koi dikhata hai aaina
har koi is hunar se to waqif nahin magar
bad-suraton ka bojh uThata hai aaina
insan ki sohbaton ne ise bhi sikha diya
chehron pe KHub chehre chaDhata hai aaina
jo dagh mere chehre pe the hi nahin kabhi
aksar wo dagh mujh ko dikhata hai aaina
sach puchhiye to chehron pe likkha nahin hai kuchh
apne hi dil ki baat batata hai aaina
us waqt kaenat ka aalam na puchhiye
jab pattharon se aankh milata hai aaina
baatin ki kuchh KHabar hai na zahir pe kuchh ayan
kuchh raaz is tarah bhi chhupata hai aaina
mahfil mein sab se aankhen churaata hai go 'ziya'
tanhaiyon mein sath nibhata hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.