ek bar jo mila tha to khoya nahin gaya
ik baar jo milā thā to khoyā nahīñ gayā
is tarh vo gayā hai ki goyā nahīñ gayā
kal raat terī yaad thī kamre meñ yā ki tū
is darja raushnī thī ki soyā nahīñ gayā
mujh ko ye e'tirāf hai ki nā-tavāñ huuñ maiñ
mujh se mirā vujūd bhī Dhoyā nahīñ gayā
aañsū Thahar ga.e haiñ mire us ke gaal par
shabnam se is gulāb ko dhoyā nahīñ gayā
phir maiñ ne qahqahe kā sahārā liyā hai aaj
dukh is qadar ziyāda thā royā nahīñ gayā
vo lutf-e-'ishq ho ki sitam-hā-e-rozgār
mujh ko kisī laḌī meñ piroyā nahīñ gayā
phir kis samar kī tum ho tamanna liye hue
gar ḳhud ko bhī zamīn meñ boyā nahīñ gayā
ek bar jo mila tha to khoya nahin gaya
is tarh wo gaya hai ki goya nahin gaya
kal raat teri yaad thi kamre mein ya ki tu
is darja raushni thi ki soya nahin gaya
mujh ko ye e'tiraf hai ki na-tawan hun main
mujh se mera wujud bhi Dhoya nahin gaya
aansu Thahar gae hain mere us ke gal par
shabnam se is gulab ko dhoya nahin gaya
phir main ne qahqahe ka sahaara liya hai aaj
dukh is qadar ziyaada tha roya nahin gaya
wo lutf-e-'ishq ho ki sitam-ha-e-rozgar
mujh ko kisi laDi mein piroya nahin gaya
phir kis samar ki tum ho tamanna liye hue
gar KHud ko bhi zamin mein boya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.