ek baat mukammal thi to ek baat adhuri
ik baat mukammal thī to ik baat adhūrī
thā hijr to puurā hī mulāqāt adhūrī
bin tere haiñ tehvār bhī sab mere adhūre
hai eid bhī phīkī sī to shabrāt adhūrī
jaate hue is khel ko anjām to dete
ruḳhsat hue tum chhoḌ ke phir maat adhūrī
chheḌā thā agar qissa to phir puurā sunāte
rahne dī kahānī bhī to is raat adhūrī
jab zaḳhm lagā.e the chhiḌak jaate namak bhī
dī tum ne to hai mujh ko ye sauġhāt adhūrī
jīvan jo diyā phir se muqaddar bhī badalte
haiñ terī masīhā ye karāmāt adhūrī
ek baat mukammal thi to ek baat adhuri
tha hijr to pura hi mulaqat adhuri
bin tere hain tehwar bhi sab mere adhure
hai eid bhi phiki si to shabraat adhuri
jate hue is khel ko anjam to dete
ruKHsat hue tum chhoD ke phir mat adhuri
chheDa tha agar qissa to phir pura sunate
rahne di kahani bhi to is raat adhuri
jab zaKHm lagae the chhiDak jate namak bhi
di tum ne to hai mujh ko ye saughat adhuri
jiwan jo diya phir se muqaddar bhi badalte
hain teri masiha ye karamat adhuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.