ek badan ek safar ek guman aur main
ik badan ik safar ik gumāñ aur maiñ
āsmāñ duur tak be-nishāñ aur maiñ
uḌ ga.e rang sab us kī tasvīr ke
ek be-chehragī hai ayaañ aur maiñ
ham safar ham abad se azal tak rahe
ik sulagtā huā dil dhuāñ aur maiñ
silsila dard kā TūTtā hī nahīñ
shab se din din se shab be-karāñ aur maiñ
ek shai raushnī ek shai tīrgī
vus.at-e-ḳhāmushī darmiyāñ aur maiñ
ḳhaak biite dinoñ kī sañbhāle hue
haiñ ġham-e-lā-makāñ rā.egāñ aur maiñ
gardish-e-vaqt 'mīrā' ta.āqub meñ hai
rafta rafta hai nafs-e-girāñ aur maiñ
ek badan ek safar ek guman aur main
aasman dur tak be-nishan aur main
uD gae rang sab us ki taswir ke
ek be-chehragi hai ayan aur main
hum safar hum abad se azal tak rahe
ek sulagta hua dil dhuan aur main
silsila dard ka TuTta hi nahin
shab se din din se shab be-karan aur main
ek shai raushni ek shai tirgi
wusat-e-KHamushi darmiyan aur main
KHak bite dinon ki sanbhaale hue
hain gham-e-la-makan raegan aur main
gardish-e-waqt 'mira' taaqub mein hai
rafta rafta hai nafs-e-giran aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.