ek barg barg din ki KHabar chahiye mujhe
ik barg barg din kī ḳhabar chāhiye mujhe
maiñ shāḳh-e-shab-zada huuñ sahar chāhiye mujhe
merī talab dahakte alaav na the kabhī
ambār-e-ḳhas huuñ ek sharar chāhiye mujhe
kab tak sulagtī ret pe behis paḌā rahūñ
is gul-zamīñ kī samt safar chāhiye mujhe
sau baar jism-o-jāñ ko banānā paḌā savāl
is tajribe se ab to hazar chāhiye mujhe
vo rabt-e-dostī jise pā.inda kah sakeñ
miltī nahīñ ye chiiz magar chāhiye mujhe
mazmūn-e-āgahī huuñ bayāñ chāhtā huuñ maiñ
afsūn-e-be-asar huuñ asar chāhiye mujhe
ek barg barg din ki KHabar chahiye mujhe
main shaKH-e-shab-zada hun sahar chahiye mujhe
meri talab dahakte alaw na the kabhi
ambar-e-KHas hun ek sharar chahiye mujhe
kab tak sulagti ret pe behis paDa rahun
is gul-zamin ki samt safar chahiye mujhe
sau bar jism-o-jaan ko banana paDa sawal
is tajribe se ab to hazar chahiye mujhe
wo rabt-e-dosti jise painda kah saken
milti nahin ye chiz magar chahiye mujhe
mazmun-e-agahi hun bayan chahta hun main
afsun-e-be-asar hun asar chahiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.