ek barq hai hujum-e-taqaza liye hue
ik barq hai hujūm-e-taqāzā liye hue
jaane maiñ aa gayā huuñ yahāñ kyā liye hue
mahmil kī oT meñ lab-e-lailā shafaq-farosh
dasht-e-junūñ meñ qais hai ġhauġhā liye hue
ik tū ki be-hijāb na honā tirī adā
ik maiñ ki shauq-e-dīd kī duniyā liye hue
ik tū ki apne husn kī hai aap hī dalīl
ik maiñ ki tere ishq kā da.avā liye hue
ik tū ki terī mast nigāhoñ meñ mai-kade
ik maiñ ki lab pe hasrat-e-sahbā liye hue
maqsūd imtihān hai rindoñ ke zarf kā
phirtā huuñ bazm bazm maiñ miinā liye hue
itnā asar to shaiḳh kī sohbat kā hai 'amīñ'
hāthoñ meñ jaam lab pe huuñ tauba liye hue
ek barq hai hujum-e-taqaza liye hue
jaane main aa gaya hun yahan kya liye hue
mahmil ki oT mein lab-e-laila shafaq-farosh
dasht-e-junun mein qais hai ghaugha liye hue
ek tu ki be-hijab na hona teri ada
ek main ki shauq-e-did ki duniya liye hue
ek tu ki apne husn ki hai aap hi dalil
ek main ki tere ishq ka dawa liye hue
ek tu ki teri mast nigahon mein mai-kade
ek main ki lab pe hasrat-e-sahba liye hue
maqsud imtihan hai rindon ke zarf ka
phirta hun bazm bazm main mina liye hue
itna asar to shaiKH ki sohbat ka hai 'amin'
hathon mein jam lab pe hun tauba liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.