ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
Shabnam Shakeel
MORE BYShabnam Shakeel
ik be-nām sī khoj hai dil ko jis ke asar meñ rahte haiñ
ham kāġhaz kī naav banā kar roz safar meñ rahte haiñ
hone aur na hone kā ik barzaḳh hai ham jis meñ haiñ
jis meñ shaam ghulī rahtī hai aisī sahar meñ rahte haiñ
apnā to ab is duniyā se kuchh aisā hī naatā hai
jaise niiñd meñ chalne vaale ḳhvāb-nagar meñ rahte haiñ
pastī aur bulandī kyā ab apne ḳhvāb hayūle bhī
gard kī sūrat uḌte haiñ aur rāhguzar meñ rahte haiñ
nīñd-nagar meñ jā kar huur se pahroñ bāteñ hotī haiñ
kaise kaise ḳhvāb mire dīvār-o-dar meñ rahte haiñ
ek havā ke jhoñke hī se laraz ga.e haiñ bām-o-dar
'shabnam' aaise lagtā hai ham ret ke ghar meñ rahte haiñ
ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain
hum kaghaz ki naw bana kar roz safar mein rahte hain
hone aur na hone ka ek barzaKH hai hum jis mein hain
jis mein sham ghuli rahti hai aisi sahar mein rahte hain
apna to ab is duniya se kuchh aisa hi nata hai
jaise nind mein chalne wale KHwab-nagar mein rahte hain
pasti aur bulandi kya ab apne KHwab hayule bhi
gard ki surat uDte hain aur rahguzar mein rahte hain
nind-nagar mein ja kar hur se pahron baaten hoti hain
kaise kaise KHwab mere diwar-o-dar mein rahte hain
ek hawa ke jhonke hi se laraz gae hain baam-o-dar
'shabnam' aaise lagta hai hum ret ke ghar mein rahte hain
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.