ek bhala kaam koi kar ke dikhao to sahi
ik bhalā kaam koī kar ke dikhāo to sahī
koī girtī huī dīvār uThāo to sahī
toḌ denā to kisī chiiz kā āsāñ hai bahut
dil ke TuuTe hue TukḌoñ ko milāo to sahī
jazba-e-ishq kī tāsīr dikhānī hai tumheñ
ham manā leñge tumheñ ruuTh ke jaao to sahī
ma.arka sar koī karnā hai agar duniyā meñ
muttahid ho ke sabhī sāmne aao to sahī
har taraf dushman-e-jāñ taak meñ baiThe haiñ bahut
kholo āñkhoñ ko zarā hosh meñ aao to sahī
zad meñ aa.egā tumhārā bhī makāñ āḳhir-kār
apne ham-sāya ke ghar aag lagāo to sahī
yaar badlo to sahī rang-e-taġhazzul apnā
ik na.ī baat raqam kar ke dikhāo to sahī
tum ko aa jā.egā gir gir ke sañbhalnā ai 'yās'
aur kuchh roz abhī Thokareñ khaao to sahī
ek bhala kaam koi kar ke dikhao to sahi
koi girti hui diwar uThao to sahi
toD dena to kisi chiz ka aasan hai bahut
dil ke TuTe hue TukDon ko milao to sahi
jazba-e-ishq ki tasir dikhani hai tumhein
hum mana lenge tumhein ruTh ke jao to sahi
marka sar koi karna hai agar duniya mein
muttahid ho ke sabhi samne aao to sahi
har taraf dushman-e-jaan tak mein baiThe hain bahut
kholo aankhon ko zara hosh mein aao to sahi
zad mein aaega tumhaara bhi makan aaKHir-kar
apne ham-saya ke ghar aag lagao to sahi
yar badlo to sahi rang-e-taghazzul apna
ek nai baat raqam kar ke dikhao to sahi
tum ko aa jaega gir gir ke sanbhalna ai 'yas'
aur kuchh roz abhi Thokaren khao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.