ek bujhe dil se jahan mein raushni karte rahe
ik bujhe dil se jahāñ meñ raushnī karte rahe
zindagī-bhar zindagī ko zindagī karte rahe
thī kahāñ himmat kisī meñ kar de ham ko ġham-zada
ye karam to zindagī-bhar aap hī karte rahe
luuT kar soyā huā thā jo hamārā saarā ghar
ham usī ke ghar ke bāhar chaukasī karte rahe
mujh ko dukh dene kā zimma thā mire apnoñ kā par
vaqt paḌne par ye ḳhidmat ġhair bhī karte rahe
ek bujhe dil se jahan mein raushni karte rahe
zindagi-bhar zindagi ko zindagi karte rahe
thi kahan himmat kisi mein kar de hum ko gham-zada
ye karam to zindagi-bhar aap hi karte rahe
luT kar soya hua tha jo hamara sara ghar
hum usi ke ghar ke bahar chaukasi karte rahe
mujh ko dukh dene ka zimma tha mere apnon ka par
waqt paDne par ye KHidmat ghair bhi karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.