ek chand sa rahta hai jo chehra mere aage
ik chāñd sā rahtā hai jo chehra mire aage
saaya mire pīchhe hai ujālā mire aage
tārīf ke alfāz na mil paa.eñ luġhat meñ
kāġhaz yūñhī rakkhā hai ye korā mire aage
tasvīr tirī bantī ye mumkin hī nahīñ thā
har ek brush aap hī TuuTā mire aage
puujā hai shab-o-roz tire husn kā paikar
sādhū ka.ī japte rahe maalā mire aage
phūloñ kī ye bārish hai shagun-nek shab-e-vasl
zarbaft kā utrā hai ye joḌā mire aage
har maut pe lagtā hai ye ham ko ki sar-e-ishq
ik dār-o-rasan aur hai taḳhta mire aage
kyā dīda-dilerī rahī hāthoñ meñ mahārat
daulat mirī millat kī safāyā mire aage
hai bahr vahī qāfiya 'ġhālib' kī radīf aur
'safvat' tire ash.ār haiñ kaasa mire aage
ek chand sa rahta hai jo chehra mere aage
saya mere pichhe hai ujala mere aage
tarif ke alfaz na mil paen lughat mein
kaghaz yunhi rakkha hai ye kora mere aage
taswir teri banti ye mumkin hi nahin tha
har ek brush aap hi TuTa mere aage
puja hai shab-o-roz tere husn ka paikar
sadhu kai japte rahe mala mere aage
phulon ki ye barish hai shagun-nek shab-e-wasl
zarbaft ka utra hai ye joDa mere aage
har maut pe lagta hai ye hum ko ki sar-e-ishq
ek dar-o-rasan aur hai taKHta mere aage
kya dida-dileri rahi hathon mein mahaarat
daulat meri millat ki safaya mere aage
hai bahr wahi qafiya 'ghaalib' ki radif aur
'safwat' tere ashaar hain kasa mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.