ek charagh aur ujale mein na rakkha jae
ik charāġh aur ujāle meñ na rakkhā jaa.e
ham ko insāf ke dhoke meñ na rakkhā jaa.e
mujh ko jis shaḳhs kā nashsha hai use DhūñDh ke laao
mujh ko in sāñpoñ ke narġhe meñ na rakkhā jaa.e
ik haqīqat se mujhe parda uThānā hai so ab
mere kirdār ko qisse meñ na rakkhā jaa.e
log betāb haiñ duniyā ko jalāne ke liye
is qadar soz bhī baaje meñ na rakkhā jaa.e
ham se lafzoñ meñ na kī jā.egī mā'nī kī talāsh
husn itnā hai to parde meñ na rakkhā jaa.e
ek charagh aur ujale mein na rakkha jae
hum ko insaf ke dhoke mein na rakkha jae
mujh ko jis shaKHs ka nashsha hai use DhunDh ke lao
mujh ko in sanpon ke narghe mein na rakkha jae
ek haqiqat se mujhe parda uThana hai so ab
mere kirdar ko qisse mein na rakkha jae
log betab hain duniya ko jalane ke liye
is qadar soz bhi baje mein na rakkha jae
hum se lafzon mein na ki jaegi ma'ni ki talash
husn itna hai to parde mein na rakkha jae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 57)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.