ek chashma-e-sarab tha bas aur kuchh na tha
ik chashma-e-sarāb thā bas aur kuchh na thā
saarā safar 'azāb thā bas aur kuchh na thā
thā al-amāñ kā vird zamīñ kī zabān par
neze pe āftāb thā bas aur kuchh na thā
ik pal meñ kyā se kyā huī duniyā nahīñ ḳhabar
har fard mahv-e-ḳhvāb thā bas aur kuchh na thā
tārīkiyoñ ke dasht meñ rahne ke bāvajūd
har zarra āftāb thā bas aur kuchh aur na thā
rangīn kaun kar gayā is kā varaq varaq
maiñ saada ik kitāb thā bas aur kuchh na thā
tūfāñ thā zalzala thā balāoñ kā raqs thā
ye sab tirā ‘itāb thā bas aur kuchh na thā
pahlū meñ rāt-bhar thā koī chāñd sā badan
vo 'shams' ek ḳhvāb thā bas aur kuchh na thā
ek chashma-e-sarab tha bas aur kuchh na tha
sara safar 'azab tha bas aur kuchh na tha
tha al-aman ka wird zamin ki zaban par
neze pe aaftab tha bas aur kuchh na tha
ek pal mein kya se kya hui duniya nahin KHabar
har fard mahw-e-KHwab tha bas aur kuchh na tha
tarikiyon ke dasht mein rahne ke bawajud
har zarra aaftab tha bas aur kuchh aur na tha
rangin kaun kar gaya is ka waraq waraq
main sada ek kitab tha bas aur kuchh na tha
tufan tha zalzala tha balaon ka raqs tha
ye sab tera ‘itab tha bas aur kuchh na tha
pahlu mein raat-bhar tha koi chand sa badan
wo 'shams' ek KHwab tha bas aur kuchh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.