ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha
ik chheḌ thī jafāoñ kā terī gila na thā
tark-e-ta.alluqāt mirā mudda.ā na thā
nāseh vo shoḳh dushman-e-īmāñ thā vāqa.ī
aur phir mirā mizāj bhī kuchh āshiqāna thā
TuuTā hai apne zom-e-vafā kā tilism aaj
mahsūs ho rahā hai ki tū bevafā na thā
ham ḳhud bhī tark-e-rāh-e-vafā par haiñ munfa.il
par kyā kareñ ki aur koī rāsta na thā
jab se judā hue haiñ tabī.at udaas hai
aur lutf ye ki tujh se koī mudda.ā na thā
ek chheD thi jafaon ka teri gila na tha
tark-e-talluqat mera muddaa na tha
naseh wo shoKH dushman-e-iman tha waqai
aur phir mera mizaj bhi kuchh aashiqana tha
TuTa hai apne zom-e-wafa ka tilism aaj
mahsus ho raha hai ki tu bewafa na tha
hum KHud bhi tark-e-rah-e-wafa par hain munfail
par kya karen ki aur koi rasta na tha
jab se juda hue hain tabiat udas hai
aur lutf ye ki tujh se koi muddaa na tha
- Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 185)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.