ek dafa usko to yun bhi aazmana hai mujhe
ik dafa us ko to yuuñ bhī āzmānā hai mujhe
āñsuoñ ko aañkh kā paanī batānā hai mujhe
jaañ bahut itrā rahā hai ab to ā.īna mirā
aao ā.īne ko ā.īna dikhānā hai mujhe
ḳhud mujhe to banñā hai misra-e-ūlā sher meñ
tum ko us kā misra-e-sānī banānā hai mujhe
ruḳh se zulfoñ ko haTāte aao chhat pe raat ko
asl chehra chāñd kā sab ko dikhānā hai mujhe
us ne bolā chhoḌ duuñ cigarette maiñ ab to ya.anī ki
hoñTh se ab us ke hoñToñ ko lagānā hai mujhe
ab ziyāda ho chukā hai ronā-dhonā hijr kā
ab to is ke ba.ad kā manzar dikhānā hai mujhe
kyoñ kahūñ mujh ko mohabbat ruuh kī hai tum se jaan
āḳhirash tum ko to bāñhoñ meñ hī laanā hai mujhe
ek dafa us ko to yun bhi aazmana hai mujhe
aansuon ko aankh ka pani batana hai mujhe
jaan bahut itra raha hai ab to aaina mera
aao aaine ko aaina dikhana hai mujhe
KHud mujhe to banna hai misra-e-ula sher mein
tum ko us ka misra-e-sani banana hai mujhe
ruKH se zulfon ko haTate aao chhat pe raat ko
asl chehra chand ka sab ko dikhana hai mujhe
us ne bola chhoD dun cigarette main ab to yani ki
honTh se ab us ke honTon ko lagana hai mujhe
ab ziyaada ho chuka hai rona-dhona hijr ka
ab to is ke baad ka manzar dikhana hai mujhe
kyon kahun mujh ko mohabbat ruh ki hai tum se jaan
aaKHirash tum ko to banhon mein hi lana hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.