Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dhanak ko dhundh karne ka chala kaisa chalan

Priyamvada Ilhan

ek dhanak ko dhundh karne ka chala kaisa chalan

Priyamvada Ilhan

MORE BYPriyamvada Ilhan

    ik dhanak ko dhundh karne chalā kaisā chalan

    dekh to ḳhud ko zarā vibgyor hai puurā badan

    hai ye tauhīn-e-chaman gar ek do rang hoñ

    muḳhtalif rangoñ ke phūloñ se hai tauqīr-e-chaman

    ye badan vaisā nahīñ hai vo badan aisā nahīñ

    hai nadārad dil jis se vo kaho kaisā badan

    dost honā hai ravā mahbūb honā nā-ravā

    ek āñkhoñ hai ThanDak ek āñkhoñ chubhan

    pyaar se hai tum ko nafrat nafratoñ se pyaar hai

    ulTā hai dastūr añdherā ḳhud ko kahtā hai kiran

    aag sīnoñ meñ rahe bas bahs ye bekār hai

    surḳh kis aag hai aur niilī hai kis agan

    jab usī ne hai banāyā ye jahāñ sab ke liye

    lab duā meñ lab pe rakkho ho magan gaao bhajan

    ek duuje ko na māreñ ye barahman aur shaiḳh

    ek duuje par jo mar jaa.eñ ye shaiḳh-o-barhaman

    ab nahīñ yuuñ zindagī se rang chhīne jā.eñge

    faḳhr se indardhanush ke hai buland apnā gagan

    ek dhanak ko dhundh karne ka chala kaisa chalan

    dekh to KHud ko zara wibgyor hai pura badan

    hai ye tauhin-e-chaman gar ek do hi rang hon

    muKHtalif rangon ke phulon se hai tauqir-e-chaman

    ye badan waisa nahin hai wo badan aisa nahin

    hai nadarad dil hi jis se wo kaho kaisa badan

    dost hona hai rawa mahbub hona na-rawa

    ek aankhon ki hai ThanDak ek aankhon ki chubhan

    pyar se hai tum ko nafrat nafraton se pyar hai

    ulTa hai dastur andhera KHud ko kahta hai kiran

    aag sinon mein rahe bas bahs ye bekar hai

    surKH kis ki aag hai aur nili hai kis ki agan

    jab usi ne hai banaya ye jahan sab ke liye

    lab dua mein lab pe rakkho ho magan gao bhajan

    ek duje ko na maren ye barahman aur shaiKH

    ek duje par jo mar jaen ye shaiKH-o-barhaman

    ab nahin yun zindagi se rang chhine jaenge

    faKHr se indardhanush ke hai buland apna gagan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now