ek dhuan sa uTh raha tha shahr mein do chaar din
ik dhuāñ sā uTh rahā thā shahr meñ do chaar din
baad is ke ḳhuub barsīñ bārisheñ do chaar din
har taraf nāshād chehre dikh raheñ haiñ āj-kal
muskurā kar ham se koī aa mile do chaar din
vasl meñ do pal sukūñ ke aaj guzreñge to kyā
phir vahī kal se purāne silsile do chaar din
jaane vaalā kah gayā do-chār din meñ aa.egā
kis ki sohbat meñ bitā.eñ ham shab-e-do chaar din
mai-kashī haañ chhoḌ dī hai yaad hañgām-e-qasam
par kisī kī yaad meñ piite rahe do chaar din
ātish-e-ulfat meñ jalne kā alag sā hai maza
jo bhī guzre ḳhuub guzre ishq ke do chaar din
ghar mire aatī nahīñ hai ab falak se raushnī
mere āñgan rahne do jalte diye do chaar din
māñgtā huuñ apne haq ke tum se pal qurbat ke maiñ
sāl-nāma meñ nahīñ hai kyā tire do chaar din
maiñ ne sambhāle rakhā thā bā-hifāzat par mujhe
vaqt par milte nahīñ haiñ vaqt se do chaar din
gum-shuda 'sādiq' kahīñ hai sāl-o-mah mere sabhī
lāpata jāneñ kahāñ haiñ vo mire do chaar din
ek dhuan sa uTh raha tha shahr mein do chaar din
baad is ke KHub barsin barishen do chaar din
har taraf nashad chehre dikh rahen hain aaj-kal
muskura kar hum se koi aa mile do chaar din
wasl mein do pal sukun ke aaj guzrenge to kya
phir wahi kal se purane silsile do chaar din
jaane wala kah gaya do-chaar din mein aaega
kis ki sohbat mein bitaen hum shab-e-do chaar din
mai-kashi han chhoD di hai yaad hangam-e-qasam
par kisi ki yaad mein pite rahe do chaar din
aatish-e-ulfat mein jalne ka alag sa hai maza
jo bhi guzre KHub guzre ishq ke do chaar din
ghar mere aati nahin hai ab falak se raushni
mere aangan rahne do jalte diye do chaar din
mangta hun apne haq ke tum se pal qurbat ke main
sal-nama mein nahin hai kya tere do chaar din
main ne sambhaale rakha tha ba-hifazat par mujhe
waqt par milte nahin hain waqt se do chaar din
gum-shuda 'sadiq' kahin hai sal-o-mah mere sabhi
lapata jaanen kahan hain wo mere do chaar din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.