ek din tamam farz ada kar diye gae
ik din tamām farz adā kar diye ga.e
saare asīr-e-zāt rihā kar diye ga.e
do chaar ġham-gusār hamāre the shahr meñ
sunte haiñ ab ki vo bhī ḳhudā kar diye ga.e
vo furqatoñ ke din the ki thā mausam-e-visāl
kitne hī zaḳhm dil ko kamā kar diye ga.e
shām-e-siyah bas apnā sā muñh le ke rah ga.ī
saare charāġh nazr-e-havā kar diye ga.e
kuchh ġham nasīb-e-'ishq the kuchh ġham nasīb-e-zīst
kuchh ġham mizāj-e-dil pe 'atā kar diye ga.e
darkār ho gayā thā kahānī meñ kuchh nayā
ham log is liye bhī judā kar diye ga.e
us kā hasīn chehra banāne kī zid thī aur
āñkhoñ ke saare rang fanā kar diye ga.e
kuchh roz meñ hī ho ga.e jab ḳhūgar-e-qafas
chupke se sab parinde rihā kar diye ga.e
ek din tamam farz ada kar diye gae
sare asir-e-zat riha kar diye gae
do chaar gham-gusar hamare the shahr mein
sunte hain ab ki wo bhi KHuda kar diye gae
wo furqaton ke din the ki tha mausam-e-visal
kitne hi zaKHm dil ko kama kar diye gae
sham-e-siyah bas apna sa munh le ke rah gai
sare charagh nazr-e-hawa kar diye gae
kuchh gham nasib-e-'ishq the kuchh gham nasib-e-zist
kuchh gham mizaj-e-dil pe 'ata kar diye gae
darkar ho gaya tha kahani mein kuchh naya
hum log is liye bhi juda kar diye gae
us ka hasin chehra banane ki zid thi aur
aankhon ke sare rang fana kar diye gae
kuchh roz mein hi ho gae jab KHugar-e-qafas
chupke se sab parinde riha kar diye gae
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 27)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.