ek diya aankh ke muqabil ho
ik diyā aañkh ke muqābil ho
raushnī tīrgī kā hāsil ho
jo masīhā.ī kar rahā hai abhī
ain mumkin hai dast-e-qātil ho
tum hasīñ ho magar zarūrī nahīñ
har koī husn hī se qaa.el ho
ba.az raste tavīl hote haiñ
ant lāzim nahīñ ki manzil ho
dar pe aaya hai to falā-tanhar
kyā ḳhabar rab kā bhejā saa.il ho
ye faqat ishq ke marātib haiñ
ḳhuld meñ habshī pahle dāḳhil ho
aañkh meñ aks DhūñDne vaale
bahr kā lāzmī hai sāhil ho
haq muazzam hai is liye 'alvī'
sāmne jo bhī aa.e bātil ho
ek diya aankh ke muqabil ho
raushni tirgi ka hasil ho
jo masihai kar raha hai abhi
ain mumkin hai dast-e-qatil ho
tum hasin ho magar zaruri nahin
har koi husn hi se qael ho
baz raste tawil hote hain
ant lazim nahin ki manzil ho
dar pe aaya hai to fala-tanhar
kya KHabar rab ka bheja sail ho
ye faqat ishq ke maraatib hain
KHuld mein habshi pahle daKHil ho
aankh mein aks DhunDne wale
bahr ka lazmi hai sahil ho
haq muazzam hai is liye 'alwi'
samne jo bhi aae baatil ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.