ek diya jalta hua bujhta hua
ek diya jalta hua bujhta hua
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
ik diyā jaltā huā bujhtā huā
huuñ havā kī raah meñ rakkhā huā
shahr vaale kab hameñ pahchānte
gaañv vāloñ ko ḳhudāyā kyā huā
aa.ina lahrā rahā thā ab kī baar
'aks thā apnī jagah Thahrā huā
kyoñ na ho āḳhir mirī miTTī ḳharāb
thā jo mujh se kūza-gar rūThā huā
shahr kī tāmīr-e-nau kā ishtihār
TūTtī dīvār par likkhā huā
kis tarah hotā samā'at āshnā
lafz thā āvāz meñ aTkā huā
ho hī jā.egā darindoñ kā shikār
apne ġhalle se hiran bichhḌā huā
phir se us khiḌkī meñ kuchh aahaT huī
phir se jogī kā udhar pahrā huā
ghar meñ zikr-e-ḳhair ho jaa.e zarā
huuñ abhī dahlīz par baiThā huā
sher the nā-ittifāqī kā shikār
kal lakaḌ-baggh.on kā phir hamla huā
kaash bairūn-e-'adālat dekh leñ
apne haq meñ faisla hotā huā
ek diya jalta hua bujhta hua
hun hawa ki rah mein rakkha hua
shahr wale kab hamein pahchante
ganw walon ko KHudaya kya hua
aaina lahra raha tha ab ki bar
'aks tha apni jagah Thahra hua
kyon na ho aaKHir meri miTTi KHarab
tha jo mujh se kuza-gar ruTha hua
shahr ki tamir-e-nau ka ishtihaar
TuTti diwar par likkha hua
kis tarah hota sama'at aashna
lafz tha aawaz mein aTka hua
ho hi jaega darindon ka shikar
apne ghalle se hiran bichhDa hua
phir se us khiDki mein kuchh aahaT hui
phir se jogi ka udhar pahra hua
ghar mein zikr-e-KHair ho jae zara
hun abhi dahliz par baiTha hua
sher the na-ittifaqi ka shikar
kal lakaD-bagghon ka phir hamla hua
kash bairun-e-'adalat dekh len
apne haq mein faisla hota hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.