ek diye ko bhi sitara nahin karne wale
ik diye ko bhī sitārā nahīñ karne vaale
vo mirī baat gavāra nahīñ karne vaale
ḳhuub aatī hai miyāñ un ko to duniyā-dārī
na.e dīvāne ḳhasārā nahīñ karne vaale
ḳhaak kar deñge sanam jism ko apne lekin
kisī sūrat bhī tumhārā nahīñ karne vaale
kal parindoñ ne bhī sayyād se ye kah Daalā
sirf paanī pe guzārā nahīñ karne vaale
ek diye ko bhi sitara nahin karne wale
wo meri baat gawara nahin karne wale
KHub aati hai miyan un ko to duniya-dari
nae diwane KHasara nahin karne wale
KHak kar denge sanam jism ko apne lekin
kisi surat bhi tumhaara nahin karne wale
kal parindon ne bhi sayyaad se ye kah Dala
sirf pani pe guzara nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.