ek dost bewafa jo hua to pata chala
ik dost bevafā jo huā to pata chalā
vo saath chalte chalte rukā to pata chalā
raste ke bīchoñ-bīch paḌā thā maiñ khā ke ġhash
logoñ ke muñh se jab ye sunā to pata chalā
yā ḳhush thā yā udaas thā hamrāh mere vo
maiñ us ke darmiyāñ se haTā to pata chalā
kartā thā tazkira vo mire āñsuoñ pe roz
ranj-o-alam se paalā paḌā to pata chalā
anmol kis qadar thā kisī ko ḳhabar na thī
duniyā se jab chalā vo gayā to pata chalā
āsān 'āshiqī hai samajhte the sab yahī
sach kyā hai maiñ ne jab ye likhā to pata chalā
bastī meñ jis ne aag lagā.ī thī dosto
ab us kā hī makān jalā to pata chalā
vāqif nahīñ thā apnī tabī'at se 'arsalān'
kuchh roz mere saath rahā to pata chalā
ek dost bewafa jo hua to pata chala
wo sath chalte chalte ruka to pata chala
raste ke bichon-bich paDa tha main kha ke ghash
logon ke munh se jab ye suna to pata chala
ya KHush tha ya udas tha hamrah mere wo
main us ke darmiyan se haTa to pata chala
karta tha tazkira wo mere aansuon pe roz
ranj-o-alam se pala paDa to pata chala
anmol kis qadar tha kisi ko KHabar na thi
duniya se jab chala wo gaya to pata chala
aasan 'ashiqi hai samajhte the sab yahi
sach kya hai main ne jab ye likha to pata chala
basti mein jis ne aag lagai thi dosto
ab us ka hi makan jala to pata chala
waqif nahin tha apni tabi'at se 'arsalan'
kuchh roz mere sath raha to pata chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.