ek duje ko aaina dikhaen chalo aao
ik duuje ko ā.īna dikhā.eñ chalo aao
ye āḳhirī taklīf uThā.eñ chalo aao
yuuñ hai ki munāfe.a kā to imkāñ hī nahīñ hai
nuqsān kā andāza lagā.eñ chalo aao
muddat se khañDar dil kā bhī vīrān paḌā hai
kuchh der yahīñ ḳhaak uḌā.eñ chalo aao
haiñ jaal to yāroñ ne bichhā.e bhī par ab ke
dushman kī chalī chaal meñ aa.eñ chalo aao
us tak hai safar laakh sarāboñ se muzayyan
'shākir' na kahīñ ḳhud se bhī jaa.eñ chalo aao
ek duje ko aaina dikhaen chalo aao
ye aaKHiri taklif uThaen chalo aao
yun hai ki munafea ka to imkan hi nahin hai
nuqsan ka andaza lagaen chalo aao
muddat se khanDar dil ka bhi viran paDa hai
kuchh der yahin KHak uDaen chalo aao
hain jal to yaron ne bichhae bhi par ab ke
dushman ki chali chaal mein aaen chalo aao
us tak hai safar lakh sarabon se muzayyan
'shakir' na kahin KHud se bhi jaen chalo aao
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 611)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.