ik-duje se KHafa-KHafa se hain abhi se hum
ik-dūje se ḳhafā-ḳhafā se haiñ abhī se ham
behtar ye hai ki duur ho jaa.eñ ḳhushī se ham
ḳhud meñ talāsh karte haiñ koī nayā hunar
ḳharcha nikāl paate nahīñ shā'irī se ham
nafrat sī ho ga.ī hai mohabbat ke naam se
photo haTā chuke haiñ tirā Diary se ham
Thukrā diyā hamārī mohabbat ko us ne yaar
haañ kartī gar vo mar ga.e hote ḳhushī se ham
mā'lūm thā hameñ ki sitamgar hai tū magar
uljhan meñ paḌ ga.e haiñ tirī sādgī se ham
dushvār lagtā hai hameñ sāñseñ bhī lenā ab
yaar aise tang aa chuke haiñ zindagī se ham
har baar terā chehra hameñ yaad aatā hai
jab jab sanam guzarte haiñ terī galī se ham
tujh ko bhī kaam aanā nahīñ vaqt par kabhī
ummīd kyā lagā.eñ tirī dostī se ham
ghar meñ parinde paal liye ham ne 'sād' ab
ummīd kyā rakheñ vafā kī aadmī se ham
ik-duje se KHafa-KHafa se hain abhi se hum
behtar ye hai ki dur ho jaen KHushi se hum
KHud mein talash karte hain koi naya hunar
KHarcha nikal pate nahin sha'iri se hum
nafrat si ho gai hai mohabbat ke nam se
photo haTa chuke hain tera Diary se hum
Thukra diya hamari mohabbat ko us ne yar
han karti gar wo mar gae hote KHushi se hum
ma'lum tha hamein ki sitamgar hai tu magar
uljhan mein paD gae hain teri sadgi se hum
dushwar lagta hai hamein sansen bhi lena ab
yar aise tang aa chuke hain zindagi se hum
har bar tera chehra hamein yaad aata hai
jab jab sanam guzarte hain teri gali se hum
tujh ko bhi kaam aana nahin waqt par kabhi
ummid kya lagaen teri dosti se hum
ghar mein parinde pal liye hum ne 'sad' ab
ummid kya rakhen wafa ki aadmi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.