ek etimad ajab sa yaqin pe rakhta hun
ik e'timād ajab sā yaqīñ pe rakhtā huuñ
vo kyā hai maiñ jise apnī jabīñ pe rakhtā huuñ
yahī to baat huī jā rahī hai mere ḳhilāf
kahīñ pe miltī hai ik shai kahīñ pe rakhtā huuñ
jo chiiz dekhne kī hai vo baar baar rahe
maiñ is tarah kā tamāsha zamīñ pe rakhtā huuñ
ġhubār hotī huī jā rahī hai ye duniyā
hai haañ kā shā.iba jis ko nahīñ pe rakhtā huuñ
kise ḳhabar hai ye kis vaqt kaam aa jaa.e
hai ḳhaak ḳhaak jise āstīñ pe rakhtā huuñ
havā ho yā ki na ho 'tūr' maiñ charāġh-e-ishq
huuñ chāhtā jahāñ rakhnā vahīñ pe rakhtā huuñ
ek e'timad ajab sa yaqin pe rakhta hun
wo kya hai main jise apni jabin pe rakhta hun
yahi to baat hui ja rahi hai mere KHilaf
kahin pe milti hai ek shai kahin pe rakhta hun
jo chiz dekhne ki hai wo bar bar rahe
main is tarah ka tamasha zamin pe rakhta hun
ghubar hoti hui ja rahi hai ye duniya
hai han ka shaiba jis ko nahin pe rakhta hun
kise KHabar hai ye kis waqt kaam aa jae
hai KHak KHak jise aastin pe rakhta hun
hawa ho ya ki na ho 'tur' main charagh-e-ishq
hun chahta jahan rakhna wahin pe rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.