ek faKHta ye puchh rahi hai hawaon se
ik fāḳhta ye pūchh rahī hai havāoñ se
kab tak chalegā kaam tumhārī du'āoñ se
motī luTā rahe haiñ sitāre adāoñ se
ḳhairāt zau kī laa.e haiñ sūraj ke gaaoñ se
ai intihā-e-shauq zarā sabr kar abhī
uljhā huā hai zehn abhī ibtidāoñ se
ai tīrgī ke saañp mire dil pe loT jā
terā hī zikr-e-ḳhair thā dhuñdlī fazāoñ se
dī haiñ jo āh-e-nīm-shabī ne basīrateñ
kāfūr ho na jaa.eñ sahar kī du'āoñ se
nanhā sā ik farishta khaḌā dekhtā rahā
kuchh kah rahā thā aadmī bargad kī chhāoñ se
shab-bhar bhañbhoḌtā rahā kuttā qayās kā
aisī bhī dil-lagī na kiyā kar gadāoñ se
'hairat' ye e'tiqād kā andhā kuaañ nahīñ
bach kar nikal shu'ūr kī jaltī chitāoñ se
ek faKHta ye puchh rahi hai hawaon se
kab tak chalega kaam tumhaari du'aon se
moti luTa rahe hain sitare adaon se
KHairaat zau ki lae hain suraj ke gaon se
ai intiha-e-shauq zara sabr kar abhi
uljha hua hai zehn abhi ibtidaon se
ai tirgi ke sanp mere dil pe loT ja
tera hi zikr-e-KHair tha dhundli fazaon se
di hain jo aah-e-nim-shabi ne basiraten
kafur ho na jaen sahar ki du'aon se
nanha sa ek farishta khaDa dekhta raha
kuchh kah raha tha aadmi bargad ki chhaon se
shab-bhar bhanbhoDta raha kutta qayas ka
aisi bhi dil-lagi na kiya kar gadaon se
'hairat' ye e'tiqad ka andha kuan nahin
bach kar nikal shu'ur ki jalti chitaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.