ek ghair ki mahfil se uThaya nahin jata
ik ġhair ki mahfil se uThāyā nahīñ jaatā
ik maiñ ki kabhī saath biThāyā nahīñ jaatā
sunñe ko to raazī haiñ vo hāl-e-dil-e-betāb
afsos mujhī se ye sunāyā nahīñ jaatā
is zo.af-o-naqāhat kā burā ho ki shab-e-vasl
vo paas haiñ aur haath lagāyā nahīñ jaatā
tum dekh ke mujh ko to girā dete the parda
muñh sāmne ġhairoñ ke chhupāyā nahīñ jaatā
jis roz se aġhyār ne bhaḌkāyā hai un ko
maiñ bazm meñ us din se bulāyā nahīñ jaatā
ḳhat ġhair kā bhejā hai mujhe yaar ne qāsid
qismat kā likhā sach hai miTāyā nahīñ jaatā
ġham-dost vo huuñ merī tasallī nahīñ hotī
jab tak ki maiñ jī bhar ke satāyā nahīñ jaatā
le le ke mirā naam diyā karte haiñ gaalī
maiñ dil se kabhī un ko bhulāyā nahīñ jaatā
āñkheñ to milāte haiñ ġhazabnāk vo ho kar
afsos hai dil un se milāyā nahīñ jaatā
ab zabt-e-fuġhāñ kā nahīñ yaarā mujhe hargiz
rāz-e-dil-e-betāb chhupāyā nahīñ jaatā
allah re nazākat ki mire qatl pe 'nashtar'
us shoḳh se ḳhanjar bhī uThāyā nahīñ jaatā
ek ghair ki mahfil se uThaya nahin jata
ek main ki kabhi sath biThaya nahin jata
sunne ko to raazi hain wo haal-e-dil-e-betab
afsos mujhi se ye sunaya nahin jata
is zoaf-o-naqahat ka bura ho ki shab-e-wasl
wo pas hain aur hath lagaya nahin jata
tum dekh ke mujh ko to gira dete the parda
munh samne ghairon ke chhupaya nahin jata
jis roz se aghyar ne bhaDkaya hai un ko
main bazm mein us din se bulaya nahin jata
KHat ghair ka bheja hai mujhe yar ne qasid
qismat ka likha sach hai miTaya nahin jata
gham-dost wo hun meri tasalli nahin hoti
jab tak ki main ji bhar ke sataya nahin jata
le le ke mera nam diya karte hain gali
main dil se kabhi un ko bhulaya nahin jata
aankhen to milate hain ghazabnak wo ho kar
afsos hai dil un se milaya nahin jata
ab zabt-e-fughan ka nahin yara mujhe hargiz
raaz-e-dil-e-betab chhupaya nahin jata
allah re nazakat ki mere qatl pe 'nashtar'
us shoKH se KHanjar bhi uThaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.