ek ghalat kirdar ki pahchan mein mara gaya
ik ġhalat kirdār kī pahchān meñ maarā gayā
maiñ kahānī meñ nahīñ 'unvān meñ maarā gayā
pur-ḳhizāñ mausam meñ bhī shādāb thī rangat mirī
maiñ vo gul huuñ jo tire guldān meñ maarā gayā
ghar ke baTvāre meñ be-shak sab ko daulat mil ga.ī
ḳhuun kā rishta magar dālān meñ maarā gayā
log jiinā chāhte the ye haqīqat hai magar
zindagī ko maut ke imkān meñ maarā gayā
sab se pahle soch phir insāniyat maarī ga.ī
phir bahut kuchh thā jo ik insān meñ maarā gayā
chand ġhazleñ kam-nigāhī ke sitam sahtī rahīñ
aur kuchh ko dafn kar dīvān meñ maarā gayā
phir har ik saa.e ne rūposhī kī chādar oḌh lī
shaam kā sūraj bhī jab maidān meñ maarā gayā
mājrā kyā thā 'nafas' kis kī thī vo āh-o-fuġhāñ
kaun thā kal raat jo zindān meñ maarā gayā
ek ghalat kirdar ki pahchan mein mara gaya
main kahani mein nahin 'unwan mein mara gaya
pur-KHizan mausam mein bhi shadab thi rangat meri
main wo gul hun jo tere guldan mein mara gaya
ghar ke baTware mein be-shak sab ko daulat mil gai
KHun ka rishta magar dalan mein mara gaya
log jina chahte the ye haqiqat hai magar
zindagi ko maut ke imkan mein mara gaya
sab se pahle soch phir insaniyat mari gai
phir bahut kuchh tha jo ek insan mein mara gaya
chand ghazlen kam-nigahi ke sitam sahti rahin
aur kuchh ko dafn kar diwan mein mara gaya
phir har ek sae ne ruposhi ki chadar oDh li
sham ka suraj bhi jab maidan mein mara gaya
majra kya tha 'nafas' kis ki thi wo aah-o-fughan
kaun tha kal raat jo zindan mein mara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.