ek gham ki kahani hai auraq-e-shikasta par
ik ġham kī kahānī hai aurāq-e-shikasta par
aur dil kī zabānī hai aurāq-e-shikasta par
haal apnā sunānā hai ash.ār kī sūrat meñ
ye umr gañvānī hai aurāq-e-shikasta par
tahrīr pe dhabboñ kī sūrat jo munaqqash hai
vo āñkhoñ kā paanī hai aurāq-e-shikasta par
ruknā bhī agar chāhūñ mujh se na rukā jaa.e
ye kaisī ravānī hai aurāq-e-shikasta par
'tāhir' mirī āñkhoñ meñ poshīda rahī hai jo
mūrat vo banānī hai aurāq-e-shikasta par
ek gham ki kahani hai auraq-e-shikasta par
aur dil ki zabani hai auraq-e-shikasta par
haal apna sunana hai ashaar ki surat mein
ye umr ganwani hai auraq-e-shikasta par
tahrir pe dhabbon ki surat jo munaqqash hai
wo aankhon ka pani hai auraq-e-shikasta par
rukna bhi agar chahun mujh se na ruka jae
ye kaisi rawani hai auraq-e-shikasta par
'tahir' meri aankhon mein poshida rahi hai jo
murat wo banani hai auraq-e-shikasta par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.