ek gham-nasib ko tere gham se mafar nahin
ik ġham-nasīb ko tire ġham se mafar nahīñ
fikr-e-jahāñ se muḳhlisī hai bhī magar nahīñ
vo āshnā nigāh kam-āmez hī rahī
is nā-murād dil kī duā meñ asar nahīñ
mizhgāñ harīf-e-kāvish-e-nāḳhun na ho sakīñ
sozish to hai pe lazzat-e-zaḳhm-e-jigar nahīñ
ranj-e-girāñ ke bojh se taare bhī thak ga.e
is zulmat-e-firāq kī shāyad sahar nahīñ
phir bhī na jaane qalb-o-nazar muntazir haiñ kyoñ
muddat se koī saaya lab-e-bām par nahīñ
vāmāñdgī-e-dasht-e-tahayyur hai aur maiñ
ye muḳhtasar hayāt magar muḳhtasar nahīñ
siine kī zulmatoñ meñ sulagtā hai soz-e-ishq
dhuñdlī sī ek yaad ki nazdīk-tar nahīñ
sahrā-e-ārzū meñ jaras hai na sang-e-mīl
dariyā-e-ḳhāk-o-ḳhūñ hai tirī rahguzar nahīñ
ek gham-nasib ko tere gham se mafar nahin
fikr-e-jahan se muKHlisi hai bhi magar nahin
wo aashna nigah kam-amez hi rahi
is na-murad dil ki dua mein asar nahin
mizhgan harif-e-kawish-e-naKHun na ho sakin
sozish to hai pe lazzat-e-zaKHm-e-jigar nahin
ranj-e-giran ke bojh se tare bhi thak gae
is zulmat-e-firaq ki shayad sahar nahin
phir bhi na jaane qalb-o-nazar muntazir hain kyon
muddat se koi saya lab-e-baam par nahin
wamandgi-e-dasht-e-tahayyur hai aur main
ye muKHtasar hayat magar muKHtasar nahin
sine ki zulmaton mein sulagta hai soz-e-ishq
dhundli si ek yaad ki nazdik-tar nahin
sahra-e-arzu mein jaras hai na sang-e-mil
dariya-e-KHak-o-KHun hai teri rahguzar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.