ek ghazal to mere hathon se misali ho jae
ik ġhazal to mire hāthoñ se misālī ho jaa.e
kaash ke tū mirā mahbūb-e-ḳhayālī ho jaa.e
dekh le tū mirī jānib jo uThā kar nazreñ
chashm-e-pur-nam jo tirī hai vo ġhazālī ho jaa.e
chāñd se ruḳh pe jo phirte ho lagā kar goggle
eid kar le na koī kuchh kī dīvālī ho jaa.e
sāmne us ko maiñ rakhtā huuñ ġhazal kahtā huuñ jab
is ġhazal-goī kī naqqālī pe taalī ho jaa.e
dil meñ tū hai mire aayat kī sī pākīza par
ye duā kar mirī niyyat na jamālī ho jaa.e
ḳhair se apnā ye netā bhī hai behis varna
shakl jo us kī hai chamkīlī vo kaalī ho jaa.e
ab bhī ho saktī hai īmān kī raunaq 'az.har'
ik azaañ phir jo añdheroñ meñ bilālī ho jaa.e
ek ghazal to mere hathon se misali ho jae
kash ke tu mera mahbub-e-KHayali ho jae
dekh le tu meri jaanib jo uTha kar nazren
chashm-e-pur-nam jo teri hai wo ghazali ho jae
chand se ruKH pe jo phirte ho laga kar goggle
eid kar le na koi kuchh ki diwali ho jae
samne us ko main rakhta hun ghazal kahta hun jab
is ghazal-goi ki naqqali pe tali ho jae
dil mein tu hai mere aayat ki si pakiza par
ye dua kar meri niyyat na jamali ho jae
KHair se apna ye neta bhi hai behis warna
shakl jo us ki hai chamkili wo kali ho jae
ab bhi ho sakti hai iman ki raunaq 'azhar'
ek azan phir jo andheron mein bilali ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.