ek ghar bana lete jahan aisa nagar koi na tha
ek ghar bana lete jahan aisa nagar koi na tha
Vipin Suneja Shayeq
MORE BYVipin Suneja Shayeq
ik ghar banā lete jahāñ aisā nagar koī na thā
ham 'umr bhar chalte rahe aur ham-safar koī na thā
ham ko sadā us paar se āvāz sī aatī rahī
jab fāsle tai kar liye dekhā udhar koī na thā
patthar ko maanā devtā lekin vo patthar hī rahā
ham giḌgiḌāte hī rahe us par asar koī na thā
ḳhush-fahmiyoñ meñ ham ne kitnā vaqt zaa.e' kar diyā
zinda rahe kis ke liye apnā agar koī na thā
ham ko hamāre baa'd koī yaad kartā kis liye
kuchh she'r kahne ke sivā ham meñ hunar koī na thā
ek ghar bana lete jahan aisa nagar koi na tha
hum 'umr bhar chalte rahe aur ham-safar koi na tha
hum ko sada us par se aawaz si aati rahi
jab fasle tai kar liye dekha udhar koi na tha
patthar ko mana dewta lekin wo patthar hi raha
hum giDgiDate hi rahe us par asar koi na tha
KHush-fahmiyon mein hum ne kitna waqt zae' kar diya
zinda rahe kis ke liye apna agar koi na tha
hum ko hamare ba'd koi yaad karta kis liye
kuchh she'r kahne ke siwa hum mein hunar koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.