ek haqiqat ke zawiye hain kai
ik haqīqat ke zāviye haiñ ka.ī
'aks-dar-'aks aa.ine haiñ ka.ī
aañkh dāman suḳhan adā andāz
mus.haf-e-dil ke hāshiye haiñ ka.ī
dasht-e-nau yuuñ na dil ko chhoTā kar
paañv meñ ab bhī aable haiñ ka.ī
chāñd ubhrā hai phir se āñkhoñ meñ
phir sitāre chamak uThe haiñ ka.ī
hijr bhī ek mas.ala thā magar
paas ho tum to mas.ale haiñ ka.ī
yuuñ bhī hotā hai koī būm-sifat
shahr vīrān ho chale haiñ ka.ī
aa ke manzil pe ye huā ehsās
mujh se apne bichhaḌ chuke haiñ ka.ī
harf kāġhaz qalam haiñ nā-kāfī
tajrabe kaal ban ga.e haiñ ka.ī
merī āñkhoñ ne raaz faash kiye
varna 'vāhid-nazīr' se haiñ ka.ī
ek haqiqat ke zawiye hain kai
'aks-dar-'aks aaine hain kai
aankh daman suKHan ada andaz
mushaf-e-dil ke hashiye hain kai
dasht-e-nau yun na dil ko chhoTa kar
panw mein ab bhi aable hain kai
chand ubhra hai phir se aankhon mein
phir sitare chamak uThe hain kai
hijr bhi ek masala tha magar
pas ho tum to masale hain kai
yun bhi hota hai koi bum-sifat
shahr viran ho chale hain kai
aa ke manzil pe ye hua ehsas
mujh se apne bichhaD chuke hain kai
harf kaghaz qalam hain na-kafi
tajrabe kal ban gae hain kai
meri aankhon ne raaz fash kiye
warna 'wahid-nazir' se hain kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.