ek harf-e-na-tamam hun aage ki baat chhoD
ek harf-e-na-tamam hun aage ki baat chhoD
Majid Jahangeer Mirza
MORE BYMajid Jahangeer Mirza
ik harf-e-nā-tamām huuñ aage kī baat chhoḌ
maiñ ḳhaas huuñ na 'aam huuñ aage kī baat chhoḌ
terī taraf paḌāv hai qismat kā āj-kal
Dhaltī huī maiñ shaam huuñ aage kī baat chhoḌ
sach pūchhiye ḳhabar nahīñ atrāf kī mujhe
maiñ ḳhud se ham-kalām huuñ aage kī baat chhoḌ
har ik vabāl in dinoñ hai muqtadī mirā
dukh-dard kā imaam huuñ aage kī baat chhoḌ
uljhe hue haiñ ziist ke dhāge 'ajīb se
sadiyoñ se zer-e-bām huuñ aage kī baat chhoḌ
aurāq kaale karne haiñ to mujh pe kar miyāñ
maiñ hijr kā maqām huuñ aage kī baat chhoḌ
mujh ko zamīn-zād ne karnā nahīñ qubūl
'mājid' barā.e-nām huuñ aage kī baat chhoḌ
ek harf-e-na-tamam hun aage ki baat chhoD
main KHas hun na 'am hun aage ki baat chhoD
teri taraf paDaw hai qismat ka aaj-kal
Dhalti hui main sham hun aage ki baat chhoD
sach puchhiye KHabar nahin atraf ki mujhe
main KHud se ham-kalam hun aage ki baat chhoD
har ek wabaal in dinon hai muqtadi mera
dukh-dard ka imam hun aage ki baat chhoD
uljhe hue hain zist ke dhage 'ajib se
sadiyon se zer-e-baam hun aage ki baat chhoD
auraq kale karne hain to mujh pe kar miyan
main hijr ka maqam hun aage ki baat chhoD
mujh ko zamin-zad ne karna nahin qubul
'majid' barae-nam hun aage ki baat chhoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.