ek hasin ko dil de kar kya bataen kya paya
ek hasin ko dil de kar kya bataen kya paya
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
ik hasīñ ko dil de kar kyā batā.eñ kyā paayā
lazzat-e-fanā chakkhī ziist kā mazā paayā
manziloñ kī saḳhtī kā ġham nahīñ ḳhushī ye hai
kis hujūm-e-hasrat meñ ham ne rāsta paayā
qadr us kī pahchāneñ aap yā na pahchāneñ
apne dil ko ham ne to hasb-e-mudda.ā paayā
be-ḳhudī kī hasrat kyā be-sabab maiñ kartā thā
aa ke hosh meñ samjhā be-ḳhudī meñ kyā paayā
shaiḳh ye tahī sāġhar haañ isī ko saaqī ne
mere kaam kā paayā yā tere kaam kā paayā
hasrateñ sarāsīma har taraf nazar aa.iiñ
kārvān-e-dil maiñ ne phir luTā huā paayā
merī mastiyāñ samjheñ terī shoḳhiyāñ jāneñ
tū ne kyā liyā mujh se maiñ ne tujh se kyā paayā
sab ye rañg-āmezī hai faqat taḳhayyul kī
kyā batā.ūñ kyā khoyā kyā jatā.ūñ kyā paayā
paas baiTh kar mere dekhte nahīñ mujh ko
un kī sharm ko maiñ ne sabr-āzmā paayā
sa.i-e-paiham ai 'manzūr' is qadr nashāt-afzā
nā-umīd kis se the kis se ye sila paayā
ek hasin ko dil de kar kya bataen kya paya
lazzat-e-fana chakkhi zist ka maza paya
manzilon ki saKHti ka gham nahin KHushi ye hai
kis hujum-e-hasrat mein hum ne rasta paya
qadr us ki pahchanen aap ya na pahchanen
apne dil ko hum ne to hasb-e-muddaa paya
be-KHudi ki hasrat kya be-sabab main karta tha
aa ke hosh mein samjha be-KHudi mein kya paya
shaiKH ye tahi saghar han isi ko saqi ne
mere kaam ka paya ya tere kaam ka paya
hasraten sarasima har taraf nazar aain
karwan-e-dil main ne phir luTa hua paya
meri mastiyan samjhen teri shoKHiyan jaanen
tu ne kya liya mujh se main ne tujh se kya paya
sab ye rang-amezi hai faqat taKHayyul ki
kya bataun kya khoya kya jataun kya paya
pas baiTh kar mere dekhte nahin mujh ko
un ki sharm ko main ne sabr-azma paya
sai-e-paiham ai 'manzur' is qadr nashat-afza
na-umid kis se the kis se ye sila paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.