ek hasin paikar-e-taslim-o-raza ho jaise
ik hasīñ paikar-e-taslīm-o-razā ho jaise
ek tum dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaise
yuuñ mujhe un kī ināyat kā ḳhayāl aatā hai
ek afsāna kabhī maiñ ne paḌhā ho jaise
zindagī itnī girāñ-bār nazar aatī hai
ek mujrim ke liye koī sazā ho jaise
dil ke goshe meñ tamannāoñ kī fariyādeñ haiñ
yā kahīñ raat ga.e shor uThā ho jaise
aise be-gāna-e-hālāt vo rahte haiñ 'rafī.a'
kuchh kiyā ho na kahā ho na sunā ho jaise
ek hasin paikar-e-taslim-o-raza ho jaise
ek tum dushman-e-arbab-e-wafa ho jaise
yun mujhe un ki inayat ka KHayal aata hai
ek afsana kabhi main ne paDha ho jaise
zindagi itni giran-bar nazar aati hai
ek mujrim ke liye koi saza ho jaise
dil ke goshe mein tamannaon ki fariyaaden hain
ya kahin raat gae shor uTha ho jaise
aise be-gana-e-haalat wo rahte hain 'rafia'
kuchh kiya ho na kaha ho na suna ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.