ek hasina par hai marta dil bhi harjai nahin
ik hasīna par hai martā dil bhī harjā.ī nahīñ
un ko bhī kasrat meñ vahdat se shanāsā.ī nahīñ
ġhair ko ab daḳhl de itnī shakebā.ī nahīñ
is liye tasvīr-e-jānāñ ham ne banvā.ī nahīñ
husn-e-be-parvā se ham kyā shikva-e-marham kareñ
un ko sikhlā.ī kisī ne bhī masīhā.ī nahīñ
bad-mizājī kā tire ham ḳhūb-tar dete javāb
shukr kar ham ne tabī'at is tarah paa.ī nahīñ
har kisī ko ham ne dekhā nām-levā 'ishq kā
haa.e par hāsil mohabbat ko hai dārā.ī nahīñ
hijr meñ bhī vasl sā vo gar mayassar hai hameñ
kyoñ gavārā dil ko phir ulfat meñ tanhā.ī nahīñ
vo badalte rahte haiñ me'yār 'jogī' dam-ba-dam
yuuñ mirī ulfat ko hai hāsil pazīrā.ī nahīñ
ek hasina par hai marta dil bhi harjai nahin
un ko bhi kasrat mein wahdat se shanasai nahin
ghair ko ab daKHl de itni shakebai nahin
is liye taswir-e-jaanan hum ne banwai nahin
husn-e-be-parwa se hum kya shikwa-e-marham karen
un ko sikhlai kisi ne bhi masihai nahin
bad-mizaji ka tere hum KHub-tar dete jawab
shukr kar hum ne tabi'at is tarah pai nahin
har kisi ko hum ne dekha nam-lewa 'ishq ka
hae par hasil mohabbat ko hai darai nahin
hijr mein bhi wasl sa wo gar mayassar hai hamein
kyon gawara dil ko phir ulfat mein tanhai nahin
wo badalte rahte hain me'yar 'jogi' dam-ba-dam
yun meri ulfat ko hai hasil pazirai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.