ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi
ik havā uTThegī saare bāl-o-par le jā.egī
ye na.ī rut ab ke sab kuchh luuT kar le jā.egī
ek ḳhadsha pahle darvāze se apne saath hai
rāstoñ kī dilkashī ḳhū-e-safar le jā.egī
ek chaurāhe pe lā kar chhup gayā hai āftāb
koī āvāra karan ab dar-ba-dar le jā.egī
ik tavaqqo le ke Takrāyā huuñ har rahrav ke saath
koī jhuñjhlā.ī huī Thokar to ghar le jā.egī
dil ke kaale ġhaar meñ sāñsoñ ke patthar jab gire
ek saa.at kī chamak sadiyoñ ke Dar le jā.egī
fikr ko 'sajjād' pahnā.e pasandīda libās
ye nahīñ sochā ki vo gahrā asar le jā.egī
ek hawa uTThegi sare baal-o-par le jaegi
ye nai rut ab ke sab kuchh luT kar le jaegi
ek KHadsha pahle darwaze se apne sath hai
raston ki dilkashi KHu-e-safar le jaegi
ek chaurahe pe la kar chhup gaya hai aaftab
koi aawara karan ab dar-ba-dar le jaegi
ek tawaqqo le ke Takraya hun har rahraw ke sath
koi jhunjhlai hui Thokar to ghar le jaegi
dil ke kale ghaar mein sanson ke patthar jab gire
ek saat ki chamak sadiyon ke Dar le jaegi
fikr ko 'sajjad' pahnae pasandida libas
ye nahin socha ki wo gahra asar le jaegi
- Book : Dariche (Pg. 53)
- Author : Bashir Saifi
- Publication : Shakhsar Publishers (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.