ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main
ik husn-e-be-misāl ke jo rū-ba-rū huuñ maiñ
mahsūs ho rahā hai ḳhud apnā 'adū huuñ maiñ
apnī giraft-e-shauq se niklūñ to kis tarah
phailā huā jahāñ meñ har ek sū huuñ maiñ
mujh pe tirī hayāt kā dār-o-madār hai
jazboñ se jhāñktā huā zinda lahū huuñ maiñ
gūñjūñgā tere zehn ke gumbad meñ rāt-din
jis ko na to bhulā sake vo guftugū huuñ maiñ
har sub.h ek mā'rka-e-karbalā sahī
har shaam apne dostoñ meñ surḳh-rū huuñ maiñ
pūchhūñ maiñ kis se 'ālam-e-imkāñ meñ kis liye
apne hī naqsh-e-pā kī tarah kū-ba-kū huuñ maiñ
'saifī' meñ apne aap meñ nīlām ho gayā
kis ko ḳhabar thī shahr meñ ik ḳhūb-rū huuñ maiñ
ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main
mahsus ho raha hai KHud apna 'adu hun main
apni giraft-e-shauq se niklun to kis tarah
phaila hua jahan mein har ek su hun main
mujh pe teri hayat ka dar-o-madar hai
jazbon se jhankta hua zinda lahu hun main
gunjunga tere zehn ke gumbad mein raat-din
jis ko na to bhula sake wo guftugu hun main
har subh ek ma'rka-e-karbala sahi
har sham apne doston mein surKH-ru hun main
puchhun main kis se 'alam-e-imkan mein kis liye
apne hi naqsh-e-pa ki tarah ku-ba-ku hun main
'saifi' mein apne aap mein nilam ho gaya
kis ko KHabar thi shahr mein ek KHub-ru hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.